Hungama hai kyun barpaa thodi si jo pi lee hain
Daakaa to nahin daalaa chori to nahin ki hain
Naa-tajurbaakaarii se vaa_iz ki ye baatein hain
Is rang ko kyaa jaane puuchho to kabhi pi hain
Hangaamaa hai kyun barpaa thodi si jo pi lee hain
Daakaa to nahin daalaa chori to nahin ki hain
Us mai se nahin matlab dil jis se hai begaanaa
Maqasuud hai us mai se dil hi mein jo khinchati hain
Hungama hai kyun barpaa thodi si jo pi lee hain
Daakaa to nahin daalaa chori to nahin ki hain
Har zarraa chamakataa hai anvaar-e-ilaahi se
Har saans ye kahati hain hum hain to Khudaa bhi hai
Hungama hai kyun barpaa thodi si jo pi lee hain
Daakaa to nahin daalaa chori to nahin ki hain
Suraj mein lage dhabbaa fitarat ke karishme hain
But ham ko kahe kaafir allaah ki marzi hai
Hungama hai kyun barpaa thodi si jo pi lee hain
Daakaa to nahin daalaa chori to nahin ki hain
Friday, June 26, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment